Kaafi waqt nikal gaya

Kaafi wqt nikal gaya
par palkon ki nami aaj bhi waise hi hai
lamhe to beet gye
par unki yaadein aaj bhi waise hi hain



Jaise kal ki baat ho....
wo sbh ki chai aur mogre ki khushbu
jagah badli aur subh bhi
par uss chai ki chahat aaj bhi waise hi hai


Sadkon k kinaare dhundte the kch sawalon k jawab
kch mile kch reh bhi gye.....
bas vishwas banta gya k
jawab ho na ho, hum hmesha saath hain
sadken bhi hain aur unk wo kinaare bhi
hum saath to nai par sawal aaj  bhi waise hi hain

Inn pahadon se dhuen udhte hain
to kch puraani yaadein satah par aane lgti hain
saath bitaaye wo pal yaad aane lgte hain
wo pyaar ki kasmein...
bina kahe hazar waade kr dena
par dhuen ko bhi khn pata hota hai
kb wo dheere dheere khtm ho jata hai
jaise pyaar........
par shaant khadi inn waadiyon mein
uth te wo aaj bhi waise hi hain.
 
- by R.N. 

0 comments: