Kaafi waqt nikal gaya

Kaafi wqt nikal gaya
par palkon ki nami aaj bhi waise hi hai
lamhe to beet gye
par unki yaadein aaj bhi waise hi hain



Jaise kal ki baat ho....
wo sbh ki chai aur mogre ki khushbu
jagah badli aur subh bhi
par uss chai ki chahat aaj bhi waise hi hai


Sadkon k kinaare dhundte the kch sawalon k jawab
kch mile kch reh bhi gye.....
bas vishwas banta gya k
jawab ho na ho, hum hmesha saath hain
sadken bhi hain aur unk wo kinaare bhi
hum saath to nai par sawal aaj  bhi waise hi hain

Inn pahadon se dhuen udhte hain
to kch puraani yaadein satah par aane lgti hain
saath bitaaye wo pal yaad aane lgte hain
wo pyaar ki kasmein...
bina kahe hazar waade kr dena
par dhuen ko bhi khn pata hota hai
kb wo dheere dheere khtm ho jata hai
jaise pyaar........
par shaant khadi inn waadiyon mein
uth te wo aaj bhi waise hi hain.
 
- by R.N. 

Chalta Chala

"" Yun chalta chala main to kisi ne na jana mjhe....
takra k gira to kisi ne na pehchana mjhe....
socha logo ne pilaya hai saaki ne jaam ise khoob,
ya khoya hua hai yaadon me soch kar jammen ko apna mehboob...
kch ne u kaha ki lagta hai ye juda hai jameen se khoob....""

""Is raah me, humsafr milte hai bichudte hain....
par safar kar sake sath me humrahi hai kam...
Par jab aaj tum ek madhosh si nisha le kar aaye ho...
sochte hain tumko dkh kar aarzu hai khoob par dil me dhadkane hai kam...
thaam lun ye pal,thamm lun ye sama..
palchin bhi na ho juda o mere mehboob...""



-Abhishek Tiwari ( AbT)

Tanha Tanha



Kuch Kosise Meri, Kuch Tumhari hai yun tanha tanha.............


"kosise kch aisi thi humari tanha tanha.....
aaraju bhi daamn thaami thi  tanha tanha......

hai gar hota meri chahto ko to na hoti yun tanha tanha... "

"hai ye tamanaa meri kch khamosh si,

 kch bebas si, behkti hui, chehkti hui...
par suna hai ise maine shaam baithe tanha tanha....""

""unki chahat aur humari aarzu ka naata aisa purana..
kabhi gumsum khawaboo me aate tha wo....
hai shikwa nahi hume kisi gile se..
bas smjh sake wo humari aarzu aur chahat ...
 gumsum,begana, anjana afasana humara...

to na chodhte wo hume yun tanha tanha .......""


-Abhishek Tiwari (AbT)

Poems of Movie Zindagi Na Milegi Dobara


1-
Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
…Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsas hi ahsas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai
There is a matter that has almost come to my lips
This is evident in my eyes
Sometimes from you, sometimes from me
They ask for words
To take their shape and come to my lips
And to be embraced by my voice
But this matter
Is a feeling…only a feeling
Floating in air like fragrance
Fragrance becomes its voice
That you know of
That i know of
It’s not hidden from the world
Don’t know what kind of secret is this

2 -
Jab jab dard ka baadal chaya

Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
…Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai
Every time the cloud of pain loomed
A tear filled my eyes
When this lonely heart was scared
I told my heart ‘Why do you cry for such reason? This happens everywhere in this world’
These dark lonely times, time has distributed them to all.
Some sadness is part of everyone’s story,
Some sunshine is a part of everyone’s life
Your eyes are damp for no reason
Every second is a new season
Why do you waste your time over such matters
Why do you cry I asked my heart

3 -
Pighlay neelam sa behta hua yeh samaan
Neeli neeli si khamoshiyaan
Na kahin hai zameen
Na kahin aasmaan
Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan
Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein
Aisi gehraiyaan
Aisi tanhaiyaan
Aur main sirf main
Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya
The moment flows by like molten sapphire
Deep Blue silences
No Earth below
No Sky above
The rustling branches and leaves
Saying that only you are here
Only me
My breath
My heartbeat
Such Depth like this
Such Loneliness like this
And me only me
I now believe I exist
Credit:Sudha
 
4-
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Nazar mein khwabon ki
Bijliyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise
Aazad rehno sikho
Tum ek dariya ke jaise
Lehron mein behna sikho
Har ek lamhe se tum milo
Khole apni bhaayein
Har ek pal ek naya samha
Dekhen yeh nigahaein
Jo apni aankhon mein
Hairaniyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Dilon mein tum apni
Betaabiyan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
If you carry impatience in your heart then you are alive
If you carry dreams in your eyes then you are alive
Learn to live like the free waves of wind
Learn to flow like the sea does as waves
Receive every moment in life with open arms
Every moment is a new beginning seeing with your eyes
If you carry surprise in your eyes then you are alive
If you carry impatience in your heart then you are alive
kyunki Zindagi Na Milegi Dobara!.. jee lo har pal.. jee lo har wo sama....